ye man lene mein aisi bhi kya burai hai

ye man lene mein aisi bhi kya burai hai
samajh mein der se ek achchhi baat aai hai

diya hai tum ne ba-sad zoam intiha ka nam
jise wo marhala-e-shauq ibtidai hai

hain tujh se badh ke yahan tere sare ham-sae
mere khuda ye teri kaisi kibriyai hai

wo jin ko kar gaya be nur aagahi ka tilism
kahan in aankhon ko phir subah ras aai hai

ba-zid hain wo bhi ki main un hi ki tarah sochun
wo jin se dur ka rishta na aashnai hai

bataun kya use aashob-e-rozgar 'asim'
jo mere waste wajh-e-ghazal-sarai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close