yun tah-e-shabnam chaman rakhna bhi kya khwahishon ko be-sukhan rakhna bhi kya lams ki tabir se na-ashna khwab ke jaisa badan rakhna bhi kya ghar ki diwaren na den jis ka pata aisi daulat aisa dhan rakhna bhi kya bante bante bhi bigad jati hai baat itni lahje mein chubhan rakhna bhi kya zindagi jine ki zid apni jagah bandh kar sar se kafan rakhna bhi kya