ye mana ki hasti nahin jawedani mohabbat hai lekin meri ghair-fani zaban khul na pai to dil ki kahani sunate rahe aansuon ki zabani mere ashk daman se apne na ponchho thamegi na ashkon ki phir ye rawani shikayat nahin hai bhula de agar tu na aa yaad mujh ko badi mehrbani dil-e-zar ki tu ne fariyaad aakhir na mani meri baat tu ne na mani gunahon ke qabil na tifli na piri na tauba pe mail hai apni jawani mila un ko jalwa jo hosh apne khoe mili hosh-mandi ko bas lan-tarani nazar uth rahi hai udhar gahe-gahe zaban ban rahi hai meri be-zabani gunahgar hain shaikh bachpan se shayad guzarti hai tauba mein un ki jawani kahani kahin ban gai hai haqiqat haqiqat kahin ban gai hai kahani mere haal par mehrbani na kije yahi aap ki hai badi mehrbani mere nam par khatm kar di hai 'amir' wafaon ki chhedi hai jis ne kahani