main jis khwab mein rahta hun pahle us khwab tak aaya wo phir us khwab se dil ke raste meri kitab tak aaya wo mai-khane tak jaane ka phir hosh bhala kis ko rahta jis masti mein sath mere is shahr-e-sharab tak aaya wo kitni pyas aur kitni masafat un aankhon mein likkhi thi ek sarab se nikla to ek aur sarab tak aaya wo us ke baad to jo karna tha aap janab ne karna tha us ki to mearaj yahi thi aap janab tak aaya wo us ki khatir chashm o dil o jaan farsh-e-rah to karna tujhe us jangal mein 'khawar' mujh se khana-kharab tak aaya wo