ye manta hun ki sau bar jhut kahta hai magar ye sach hai wo tum se hi pyar karta hai are wo hoga munafiq tumhaara yar nahin har ek baat pe jo han mein han milata hai kahun main achchha bura ya karun koi bakwas mera khuda hi to har baat meri sunta hai muashare ka bada ek alamiya ye hai yahan pe jurm ziyaada farogh pata hai tumhein zamin ka hawala to ras aaya nahin wo aasman bhala kis ne ja ke dekha hai main us ke hone pe kaamil yaqin rakhta hun mere yaqin pe wo bhi yaqin rakhta hai ai meri hur tera intizar hai ab bhi tera 'waqar' abhi teri rah takta hai