ye manzar dekh kar sahil ki hairani nahin jati mujhe chhu kar bhi koi mauj-e-tufani nahin jati pareshani agar hai to pareshani ka hal bhi hai pareshan-haal rahne se pareshani nahin jati ye kaise log hain jo aaina pahchan lete hain ki ab hum se to apni shakl pahchani nahin jati bahut kanjus hain aankhen meri aansu bahane mein agarche daulat-e-gham ki farawani nahin jati gham-e-duniya se pahlu to mera aabaad rahta hai magar dil hai ki is ki khana-virani nahin jati