yun furqaton mein sulagta hai shab ka mausam ki jaise dasht-e-junun jag utha hai yak-dam hamein khabar thi kabhi kaam aa hi jaega jalaya dil ko agar sham ho gai maddham wo dur hai to yun sakit hua chaman sara rukh-e-gulab pe jaise ruki hui shabnam junun mein mang liya tha kamal-e-dildari so izn-e-ishq hai ye fasla rahe qaem hamare soz-e-junun se jo aankh ne dekha hamare beach ka har fasla hua mubham ho jaise phul koi nalan apni khushbu se tamam umr wo mujh se yunhi raha barham nahin likhenge koi baat aaj 'nilam' ki ghazal ke sheron mein ye mashwara hua baham