ye marhala hai mere aazmae jaane ka mila hai hukm mujhe kashtiyan jalane ka bahana dhund rahe hain tamam ahl-e-sitam fasil-e-shahr-e-wafa mein naqab lagane ka bade sukun se soi hai aaj khilqat-e-shahr mana ke jashn charaghon ki lau bujhane ka hawa-e-shahr hi jab ho gai khilaf mere use bhi aa gaya fan ungliyan uthane ka mere wajud mein zinda hai shaukat-e-mazi main ek sutun hun guzre hue zamane ka ruki hui hai lab-e-khushk par hayat ki bund phir us ke baad to manzar hai dub jaane ka safar ki sham meri zindagi ke mathe par bas ek sitara tere nur aastane ka