ye marhale bhi mohabbat ke bab mein aae khulus chaha to patthar jawab mein aae khusha wo shauq ki dar dar liye phira mujh ko zah-e-nasib ki tum intikhab mein aae hazar zabt karun lakh dil ko bahlaun magar wo shakl jo har roz khwab mein aae main kya kahun ki tera zikr ghair se sun kar jo waswase dil-e-khana-kharab mein aae hai shahryar ki qurbat se fasla behtar rahe jo qurb mein akasr itab mein aae wahin qabila-e-murda-zamir likh dena hamara zikr jahan bhi kitab mein aae riya ke daur mein sach bol to rahe ho magar ye wasf hi na kahin ehtisab mein aae main apne des ki mitti se pyar karta hun ye jurm bhi meri fard-e-hisab mein aae