na kyun-kar nazr dil hota na kyun-kar dam mera jata

na kyun-kar nazr dil hota na kyun-kar dam mera jata
akela bhejta us ko wo khali hath kya jata

janaze par bhi wo aate to munh ko dhank kar aate
hamari jaan le kar bhi na andaz-e-haya jata

tumhaari yaad mera dil ye donon chalte purze hain
jo in mein se koi mitta mujhe pahle mita jata

teri chitwan ke bal ko hum ne qatil tak rakha tha
kidhar maqtal mein bach kar hum se ye tir-e-qaza jata

maza jab tha qayamat tak na aata hosh 'bekhud' ko
pilai thi jo mai saqi ne itni to pila jata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close