ye mat bhula ki yahan jis qadar ujale hain

ye mat bhula ki yahan jis qadar ujale hain
ye aadmi ne andheron se hi nikale hain

na puchh kyun hai ye rang-e-ghazal mein tabdili
ye dekh sina-e-shair mein kitne chhaale hain

libas-e-sabr-o-tahammul jo hum hain pahne hue
ab is ke lagta hai bakhiye udhadne wale hain

tawaqquat wahi aaj bhi hain yaron se
ki ab bhi yar sabhi aastin wale hain

khamosh kanpte mohre laraz raha hai bisat
na jaane kaun si wo chaal chalne wale hain

ye kya sitam hai ki un ko bhi main bada likkhun
jo log aaj bade karobar wale hain

khuda kare ki 'saadat' tumhein sujhai den
jo mere sheron mein mafhum ke ujale hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close