ye mere chaaron taraf kis liye ujala hai tera khayal hai ya din nikalne wala hai yaqin mano main kab ka bikhar gaya hota tumhaari yaad ne ab tak mujhe sambhaala hai hujum-e-jashn mein karta hai gham-zadon ko talash mujhe junun ne ajab imtihan mein dala hai kisi ka nam to hum le ke shab mein sote hain koi to hai jo sahar-dam jagane wala hai zamana-saz daren gardish-e-zamana se hamara kya hai hamein hadson ne pala hai yahi bahut hai ki naqsh-e-qadam se bach jaen sukhan mein rasta kis ne naya nikala hai khuda kare ki use ilm bhi na ho 'mohsin' wo jis ke gird meri chahaton ka haala hai