ye mere shahr ka ek aur hadisa hoga wo kal yahan mera mehman ban chuka hoga talash mein hun kisi ki main kab se sargardan usi tarah koi mujh ko bhi dhundhta hoga meri tarah se koi chikhta hai rahon mein meri tarah koi duniya ko dekhta hoga laga ke aaega chehra koi naya shab mein wo jis ko baith ke din mein tarashta hoga shanasa chehre bhi lagne lage hain begane ab apna waqt hi shayad badal raha hoga udas udas sa khoya hua sa rahta hai kuchh us se bhi koi kah kar badal gaya hoga thaka thaka sa usi dar pe aa ke baitha tha na puchha hoga kisi ne to chal diya hoga jahan pahunch ke qadam dagmagae hain sab ke usi maqam se ab apna rasta hoga