yun teri rah mein pade hue hain jaise dargah mein pade hue hain gham hain jitne bhi is zamane ke meri ek aah mein pade hue hain mere bachchon ke khwab to filhaal chhoti tankhwah mein pade hue hain bach ke nikle jo maut ke munh se yaad-e-allah mein pade hue hain kab kisi ki hui hai ye duniya hum abas chah mein pade hue hain khak hona nasib hai lekin hashmat-o-jah mein pade hue hain ek nazar hum pe mahwish-e-azam tere kunjah mein pade hue hain kuchh gharaz hi nahin jise hum se us ki parwah mein pade hue hain jin ko zindan mein hona chahiye tha hujra-e-shah mein pade hue hain aap se ham-kalam hai 'abid' log kyon wah mein pade hue hain