ye meri sham-e-judai kis bala ki sham hai

ye meri sham-e-judai kis bala ki sham hai
saikdon lakhon balaen ek dil-e-nakaam hai

dast-e-saqi mein jhalakta saghar-e-gulfam hai
jaane qismat ka sikandar kaun tishna-kaam hai

ikhtitam-e-roghan-e-hasti ka ye anjam hai
lau charagh-e-zindagi ki larza-bar-andam hai

mere lashe par aziz-o-ashna rote hain kyon
ab mujhe taklif kya aaram hi aaram hai

bekasi ne meri baalin par dam-e-akhir kaha
jitni subhen ho chuki hain hoti sab ki sham hai

panw thak jaen bala se shauq thakne ka nahin
manzil-e-maqsud lakhon kos bhi do gam hai

ladkhada kar gir pada hun aa ke manzil ke qarib
tum kahan baithe ho aao ab tumhaara kaam hai

achchhi surat ko na jaane kyon bura kahte hain log
husn-e-bechaara to 'nashtar' muft mein badnam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close