ye misra nahin hai wazifa mera hai khuda hai mohabbat mohabbat khuda hai kahun kis tarah main ki wo bewafa hai mujhe us ki majburiyon ka pata hai hawa ko bahut sar-kashi ka nasha hai magar ye na bhule diya bhi diya hai main us se juda hun wo mujh se juda hai mohabbat ke maron pe fazl-e-khuda hai nazar mein hai jalte makanon ka manzar chamakte hain jugnu to dil kanpta hai unhen bhulna ya unhen yaad karna wo bichhde hain jab se yahi mashghala hai guzarta hai har shakhs chehra chhupae koi rah mein aaina rakh gaya hai badi jaan lewa hain mazi ki yaaden bhulane ko ji bhi nahin chahta hai kahan tu 'khumar' aur kahan kufr tauba tujhe parsaon ne bahka diya hai