mushkil ye imtiyaz teri rahguzar mein hai manzil safar mein hai ki musafir safar mein hai hun muztarib magar teri surat nazar mein hai pahlu bhi ek sukun ka dard-e-jigar mein hai thodi si khak main ne utha li zamin se ab sari zindagi ka khulasa nazar mein hai ai aaftab-e-subh idhar bhi koi kiran muddat se ek gharib umid-e-sahar mein hai puchho na ek ek se mere junun ka raaz mere junun ka raaz tumhaari nazar mein hai kabe ko manta hun magar is yaqin ke sath kaba bhi ek maqam teri rahguzar mein hai mana ki sab ne aap ko dekha hai shauq se pahchanne khulus-e-nazar kis nazar mein hai fasl-e-bahaar aai hai kaise yaqin karen 'shaarib' hai jis ka nam wo diwana ghar mein hai