ye mukarrar aur ye irshad zindabaad

ye mukarrar aur ye irshad zindabaad
sher ko samjhe bina di dad zindabaad

qais ranjha romiyo farhad zindabaad
ishq mein jo bhi hua barbaad zindabaad

dil ko mere kar rahi aabaad zindabaad
tu hai zinda baad teri yaad zindabaad

ek tinke ne bacha li dubte ki jaan
hai bahut chhoti to kya imdad zindabaad

hai qafas is jism ka mana bahut mazbut
phir bhi tair ruh ka aazad zindabaad

bhid ka hissa ho tum to bhid ke hi sath
zor se bolo hamare baad zindabaad

bakhsh di jaen hamare qatilon ki jaan
aakhiri maqtul ki fariyaad zindabaad

dekhiye badle hain kaise bagh ke haalat
bulbulen bhi kahti hain sayyaad zindabaad

yun to bilkul raegan thi aap ki taqrir
par isi taqrir ki rudad zindabaad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close