dil se ek aag ki diwar ubharti jae zina zina shab-e-tanhai utarti jae tum se milne ka jo barson mein kabhi aae khayal har taraf faslon ki ret bikharti jae waqt ki chaal ko hum ro ke rahen kamre mein aur idhar raat andha dhund guzarti jae tapta sahra hai har ek shahr aur ummid-e-sukun ek badli hai jo upar se guzarti jae main to auqat ke phailao mein badhta jaun aur jo ek shai mere andar hai wo marti jae jaane kya bhut chhupe baithe hain is aangan mein raat jae to wahan kanpti darti jae wo nazar phul khilati chale pahlu pahlu ban ke kanta sa dilon mein bhi utarti jae