ye mumkin hai ki mil jaen teri khoi hui chizen qarine se saja kar rakha zara bikhri hui chizen kabhi yun bhi hua hai hanste hanste tod di hum ne hamein malum tha judti nahin tuti hui chizen zamane ke liye jo hain badi nayab aur mahngi hamare dil se sab ki sab hain wo utri hui chizen dikhati hain hamein majburiyan aise bhi dil aksar uthani padti hain phir se hamein phenki hui chizen kisi mahfil mein jab insaniyat ka nam aaya hai hamein yaad aa gai bazar mein bikti hui chizen