aaftab ab nahin nikalne ka daur aaya sharab dhalne ka sanp kahte hain zulf ko shair kaam karte hain munh kuchalne ka lakh hum chikni-chupdi baat karen un ka dil ab nahin phisalne ka sifat-e-lab mein sher kahte hain ab irada hai lal ugalne ka kutte hain jo apna hum sina hai ewaz chhatiyan masalne ka kyun na har tarz mein ho baat nai pan hai qabu zaban badalne ka ek bose ki bhi jamae ab qasd hai un ko missi malne ka nakhl-e-matam ke sae mein na thahar hai musafir jo qasd chalne ka chashm-poshi se tifl-e-ashk apna dhang sikha hai ab machalne ka hifz-e-tir-e-nigah hai ain khata nahin paigham maut talne ka hum bhi khela karenge jaan par ab shaghl achchha hai dil bahalne ka 'mehr' hirba se dosti ta-chand gham nahin rang ke badalne ka