ye musht-e-khak mujh ko ek jahan malum hoti hai jo gard-e-karwan hai karwan malum hoti hai mujhe chashm-e-sitam jab mehrban malum hoti hai to sari duniya apni ham-inan malum hoti hai agar samjhe to kuchh sayyaad us ki aarzu samjhe jise bijli hi zeb-e-ashiyan malum hoti hai bhar aaya dil tarane bulbul-e-nashad ke sun kar kahani gham ki naghmon mein nihan malum hoti hai kali ka muskurana daman-e-gulchin ko dawat hai meri har aarzu kyon gulsitan malum hoti hai mohabbat ka fasana kya bas ek harf-e-tamanna hai zara si baat hai aur dastan malum hoti hai mera munh dekhte hain dam-ba-khud hain saghar-o-mina teri mahfil ki har shai raazdan malum hoti hai