hai dhum-e-rindan ek taraf saqi ka saman ek taraf mina-e-giryan ek taraf aur jam-e-khandan ek taraf dekhe use gar yak nazar wo tab se be-tab ho khurshid-e-larzan ek taraf aur mah gurezan ek taraf khandan chaman mein kis qadar qamat par apne sar-kashan hai sarw-e-nazan ek taraf shamshad-e-shadan ek taraf aise mein aa pahunche agar wo maya-e-naz-o-ada hon laf-bazan ek taraf wo jaan-e-jaanan ek taraf ab 'imtiyaz' haigi ajab hi aashiqon ki saf mein dhum giryan-o-nalan ek tarf chaak-e-gareban ek taraf