ye na puchho tum khudara ki mera makan kahan hai jise aag di hai tum ne wahi mera aashiyan hai tumhein kya sunaun ab main gham-e-ishq ka fasana wahi qissa-e-alam hai wahi gham ki dastan he mujhe raushni milegi rah-e-zist mein usi se tera naqsh-e-pa hai jaanan ki charag-e-karwan hai meri har nishat-o-gham ko teri zat se hai nisbat tu jo aae to bahaaran tu na aae to khizan hai wo bahaar-e-subh-e-raushan ye andhere sham-e-gham ke wo to un ki thi kahani ye hamari dastan hai wahi zindagi ka lamha ki jo tere sath guzra wahi mukhtasar sa lamha meri umr-e-jawedan hai nahin kuchh samajh mein aata ki 'umid' ko hua kya na hai lab pe harf-e-shikwa na zaban pe ab fughan hai