ye na-sipasi-e-gulchin jhalak nahin rahi hai saba ke bhes mein sarsar thirak nahin rahi hai faza mein raqsan hai na-ashna-e-mahz hawa jabhi to shakh-e-mohabbat lachak nahin rahi hai hazar ghaltan-o-pechan hon ab parindon mein wo tinke jodne wali lalak nahin rahi hai hai saf saf ye auraq-e-gul pe likkha hua ghadi khizan ki zara bhi sarak nahin rahi hai gai ruton ke hawalon se gul khilata hai use khud apni zalalat khatak nahin rahi hai fishaar-e-gard se manzar tamam ata hua hai chaman-parast nazar phir bhi thak nahin rahi hai mera bhi dhup mein ab sar tanakne lagta hai kamar pe us ke bhi choti latak nahin rahi hai ulajh ke rah gai tar-e-nafas mein hasrat-e-dil bhari hai aankh palak tak jhapak nahin rahi hai halal kar gaya har aarzu wo jate hue gham-e-firaq mein lazzat talak nahin rahi hai khuda kare ki wo khush-haal-o-'sarfaraaz' rahe kasak ba-nam bhi dil mein kasak nahin rahi hai