ye dil hua dhuan dhuan hawa uDa ke le gai

ye dil hua dhuan dhuan hawa uda ke le gai
fughan ki su-e-kahkashan hawa uda ke le gai

zi-bas-ki khair hai jahan hawa uda ke le gai
bataen kaise jaan-e-jaan hawa uda ke le gai

ye mustaqil musafirat bhala kise aziz thi
nasib hai yahan wahan hawa uda ke le gai

nizam-e-kaenat ke khilaf kuchh nahin hua
tasahuli ki dhajjiyan hawa uda ke le gai

khuda-na-khasta khuda se nakhuda ko tha gurez
bhanwar mein sari kashtiyan hawa uda ke le gai

zaif baghban se muzahimat na ho saki
gulon se tazgi kahan hawa uda ke le gai

sunahre daur ka ajib taur khatma hua
jahan ki khak thi wahan hawa uda ke le gai

lahu lahu zamin hui darakht jab laraz uthe
to zalimon ki pagdiyan hawa uda ke le gai

maashre ke naunihaal the hawa ke jal mein
na hone pae naujawan hawa uda ke le gai

waba-e-sakhta ko sab bala-e-asman kahen
gali gali ye dastan hawa uda ke le gai

wahi charagh sa hamare dil mein ek phul tha
use bhi 'sarfaraaz'-khan’ hawa uda ke le gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close