ye na socha tha kadi dhup se rishta bhi to hai sirf dariya hi nahin rah mein sahra bhi to hai dastan-go ki har ek baat tawajjoh se sunun is hikayat mein mere yar ka qissa bhi to hai tujh ko chhune ke liye hath badhaun to lage phul ke sath har ek shakh mein kanta bhi to hai khud hi khinche the hisar us ne magar ab ki bar mujh se milne wo haden tod ke aaya bhi to hai kashmakash mein hun karun tark-e-talluq kaise us sitamgar pe mere dil ko bharosa bhi to hai bad-dua ab mere honton pe machalti hi nahin isi duniya mein meri chhoti si duniya bhi to hai