wo aur log the jo raste badalte rahe safar hai shart so hum nind mein bhi chalte rahe pighal raha tha yugon se wajud ka lawa khayal-o-khwab mere pattharon mein dhalte rahe unhen qubul meri rahbari na thi lekin mukhalifin mere sath sath chalte rahe jinhen nasib hua un ko bakhsh di raunaq main jin ke hath na aaya wo hath malte rahe agarche zauq-e-safar mein kami nahin aai qadam qadam pe magar zawiye badalte rahe ubhar jo aae sar-e-sham aatishin lamhe safar mein barf-badan der tak pighalte rahe