ye na-tamam fasana tamam ho to sahi

ye na-tamam fasana tamam ho to sahi
hamare sath tumhaara bhi nam ho to sahi

mere liye bhi khushi ka payam ho to sahi
andhere ghar mein ujale ka nam ho to sahi

jahan-e-nau ke ye mahmud bhi qadam chumen
ayaz jaisa kahin bhi ghulam ho to sahi

mile jo hum se to patthar bhi mom ho jae
koi bahana barae-kalam ho to sahi

sukun-e-dil ho mayassar hamein kisi surat
hamari aisi koi subh sham ho to sahi

hamare lab pe tumhaara hi nam kya mani
tumhaare lab pe hamara bhi nam ho to sahi

bahut hi dard mein dube hain rahbaran-e-karam
kisi ke hath sahi apna kaam ho to sahi

main apni subh bhi kar dun nisar us pe 'jamil'
kisi ki zulf ke sae mein sham ho to sahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close