ye nafraton ka sulagta alaw kaisa hai ye karwan-e-sahar ka padaw kaisa hai lahuluhan hai peshani-e-saba kyunkar badan pe ahl-e-gulistan ke ghaw kaisa hai mohabbaton ki rawish mein bapa hai raqs-e-sharar ye shahr-e-ishq wafa mein tanaw kaisa hai mata-e-dard ki hai apna mushtarak wirsa miyan-e-ham-nafasan bhed-bhaw kaisa hai simat rahe hain ujale ufuq ki banhon mein andheri raat ka ye chal-chalaw kaisa hai na khauf-e-kam-nigahi hai na khadsha-e-shab-khun shuur-e-jihat se aari bahaw kaisa hai salib-o-dar ke mausam pe guftugu na sahi dayar-e-husn ka ab rakh-rakhaw kaisa hai jabin-e-fikr pe zakhmon ki kaifiyat kya hai hujum-e-shauq ka aalam batao kaisa hai 'shamim' qimat-e-jins-e-hayat kya thahri lahu ka shahr-e-nigaran mein bhaw kaisa hai