ye nakhl-e-tak nin mai-kash tere jab mast hote hain chaman mein aindate angdaiyan le le ke sote hain tere ushshaq kar-e-dast ko karte hain aankhon se guhar aansu ke kis siffat se mizhgan mein pirote hain safedi kuchh jo thi so bhi miti haihat rone se siyahi nama-e-amal ki kya khak dhote hain gae-guzre nahin hain 'ishq' diwanon se kuchh hum bhi wo apni sudh bisarte howenge hum khud ko khote hain