zahid nahin masjid se kam hurmat-e-mai-khana maston ki jamaat mein mehrab hai paimana kyun zulf teri uljhi rahti hai ai jaanana hazir hai dil-e-sad-chaak darkar ho gar shana dekhe jo teri surat ho jae hai diwana hai aks se tujh rukh ke aaina pari-khana is dil ka mere jalna rakhta hai wo kaifiyyat dekhega jo parwana ho jaega mastana ek naqd-e-nigah par 'ishq' bikta hai to kar sauda de bahr-e-kharidari didar ka baiana