ye nam mumkin nahin rahega maqam mumkin nahin rahega ghurur lahje mein aa gaya to kalam mumkin nahin rahega ye barf-mausam jo shahr-e-jaan mein kuchh aur lamhe thahar gaya to lahu ka dil ki kisi gali mein qayam mumkin nahin rahega tum apni sanson se meri sansen alag to karne lage ho lekin jo kaam aasan samajh rahe ho wo kaam mumkin nahin rahega wafa ka kaghaz to bhig jaega bad-gumani ki barishon mein khaton ki baaten to khwab hongi payam mumkin nahin rahega ye hum mohabbat mein la-talluq se ho rahe hain tu dekh lena duaen to khair kaun dega salam mumkin nahin rahega