jo kahta hai ki dariya dekh aaya ghalat mausam mein sahra dekh aaya dagar aur manzilen to ek si thin wo phir mujh se juda kya dekh aaya har ek manzar ke pas-e-manzar the itne bahut kuchh be-irada dekh aaya kisi ko khak de kar aa raha hun zamin ka asal chehra dekh aaya ruka mahfil mein itni der tak main ujalon ka budhapa dekh aaya tasalli ab hui kuchh dil ko mere teri galiyon ko suna dekh aaya tamashai mein jaan atki hui thi palat kar phir kinara dekh aaya bahut gadla tha pani is nadi ka magar main apna chehra dekh aaya main is hairat mein shamil hun to kaise na jaane wo kahan kya dekh aaya wo manzar daimi itna hasin tha ki main hi kuchh ziyaada dekh aaya