ye paiham talkh-kaami si rahi kya mohabbat zahr kha ke aai thi kya mujhe ab tum se dar lagne laga hai tumhein mujh se mohabbat ho gai kya shikast-e-e'timad-e-zat ke waqt qayamat aa rahi thi aa gai kya mujhe shikwa nahin bas puchhna hai ye tum hansti ho apni hi hansi kya hamein shikwa nahin ek dusre se manana chahiye us par khushi kya pade hain ek gosh mein guman ke bhala hum kya hamari zindagi kya main rukhsat ho raha hun par tumhaari udasi ho gai hai multawi kya main ab har shakhs se ukta chuka hun faqat kuchh dost hain aur dost bhi kya mohabbat mein hamein pas-e-ana tha badan ki ishtiha sadiq na thi kya nahin rishta samucha zindagi se na jaane hum mein hai apni kami kya abhi hone ki baaten hain so kar lo abhi to kuchh nahin hona abhi kya yahi puchha kiya main aaj din-bhar har ek insan ko roti mili kya ye rabt-e-be-shikayat aur ye main jo shai sine mein thi wo bujh gai kya