ye sare khubsurat jism abhi mar jaane wale hain magar hum ishq wale bhi kahan baz aane wale hain haqiqat ka hamein kya ilm sachchai se kya matlab hamare jitne bhi mashuq hain afsane wale hain hamein masjid se kya jhagda magar bas ek mushkil hai ki us ki or ke sab raste mai-khane wale hain nafi ki salsi darkar hai jo faisla kar de ki hum allah-miyan wale hain ya but-khane wale hain chalo gumrahiyon ki rui bhar lo apne kanon mein suna hai shaikh-sahab aaj kuchh farmane wale hain tum apne jism ka aatish-kada kholo ki hum sufi usi ki aag le kar ruh ko garmane wale hain agarche 'farhat-ehsas' apna majnun shahr wala hai par us ke ishq ke andaz sab virane wale hain