ye pili shakh par baithe hue pile parinde larazti dhup ki aaghosh mein sahme parinde khuda malum kis aawaz ke pyase parinde wo dekho khamushi ki jhil mein utre parinde mere kamre ki virani se uktae parinde sulagti dopahar mein kis taraf jate parinde hisar-e-jism se ghabra ke jab nikle parinde hawa ki zad mein aa kar der tak chikhe parinde khud apne shoala-e-parwaz se jalte parinde khala-e-yakh-zada mein rah ke bhi sulge parinde mere dast-e-hawas-alud se udte parinde kisi shakh-e-jawani tak nahin pahunche parinde azal se ek hasin khushbu ke diwane parinde abad tak 'kaif' dasht-e-rang mein bhatke parinde