pichhe pada ghanim ka lashkar hai kya karen be-moajiza asa hai samundar hai kya karen han dast-e-ehtiyat mein khanjar hai kya karen dushman hamari zat ke andar hai kya karen lazim hua hai tisha-e-dil ka sambhaalna har dast-e-yar-e-ghaar mein patthar hai kya karen us rukh se ab kisi tarah hatti nahin nazar wo sab se is jahan mein hat kar hai kya karen qad-awari hai aur kadi dhup ka hai qahr ye aatishin-chinar muqaddar hai kya karen raste nahin hain raat ki hain dhajjiyan tamam har su shikast-e-zat ka manzar hai kya karen