ye qafile yaadon ke kahin kho gae hote ek pal bhi agar bhul se hum so gae hote ai shahr tera nam-o-nishan bhi nahin hota jo hadse hone the agar ho gae hote har bar palatte hue ghar ko yahi socha ai kash kisi lambe safar ko gae hote hum khush hain hamein dhup wirasat mein mili hai ajdad kahin ped bhi kuchh bo gae hote kis munh se kahen tujh se samundar ke hain haqdar sairab sarabon se bhi hum ho gae hote