ye qarz-e-kaj-kulahi kab talak ada hoga tabah ho to gae hain ab aur kya hoga yahan tak aai hai biphre hue lahu ki sada hamare shahr mein kya kuchh nahin hua hoga ghubar-e-kucha-e-wada bikharta jata hai ab aage apne bikharne ka silsila hoga sada lagai to pursan-e-haal koi na tha guman tha ki har ek shakhs ham-nawa hoga kabhi kabhi to wo aankhen bhi sochti hongi bichhad ke rang se khwabon ka haal kya hoga hua hai yun bhi ki ek umr apne ghar na gae ye jaante the koi rah dekhta hoga abhi to dhund mein lipte hue hain sab manzar tum aaoge to ye mausam badal chuka hoga