ye qaul aql ka hai mera faisla nahin muhtaj ho subut ka ho wo khuda nahin kyun raaz-dar-e-dil pe bharosa kiya nahin aaina dekhta hai magar bolta nahin raunde gae hain phul bhi kanton ke sath sath gulshan mein inqalab se koi bacha nahin bahte nahin hain waqt ki raftar dekh kar hum khud bure bane hain zamana bura nahin gumrah kar ke chhodega ye shauq-e-rah-rawi hum us taraf chale hain jidhar rasta nahin hai jurm sach jo puchho to ye hai pate ki baat un ka pata mila hai to apna pata nahin