ye qissa-e-mukhtasar nahin hai tafsil-talab magar nahin hai tum apne diye jalae rakkho imkan-e-sahar agar nahin hai tu mere dil mein jhankta hai teri itni nazar nahin hai jo log dikhai de rahe hain kandhon pe kisi ke sar nahin hai ab yun hi dekhta hun rasta manzil pesh-e-nazar nahin hai ye soch ke ki dua muakhkhar diwar mein koi dar nahin hai be-ghar hun main 'imtiyaz' jab se andesha-e-baam-o-dar nahin hai