anjaane logon ko har su chalta phirta dekh raha hun kaisi bhid hai phir bhi khud ko tanha tanha dekh raha hun diwaron se rauzan rauzan kya kya manzar ubhre hain suraj ko bhi dur ufuq par jalta bujhta dekh raha hun jis ko apna rup diya aur jis ke har dam khwab bune kab se main us aane wale kal ka rasta dekh raha hun subhon ki peshani par ye kaisi siyahi phaili hai apni ana ko har lamhe suli par chadhta dekh raha hun aaine mein kya dekhun jab har chehra aaina hai us ka chehra dekh raha hun apna chehra dekh raha hun