ye qisson mein jo dukh uThane bandhe hain

ye qisson mein jo dukh uthane bandhe hain
so ulfat hi ke sab fasane bandhe hain

qafas mein suno lo asiran-e-kohna
ba-har-shakh-e-nau aashiyane bandhe hain

khuda jaane is ghar mein kya hai ki jis ke
kai dar ke aage diwane bandhe hain

wo aansu hain apne ki sab ki girah mein
kai motiyon ke khazane bandhe hain

hawa ye dayar-e-mohabbat ki bigdi
ki sab rahne walon ke shane bandhe hain

mulaqat kya ho rahe thaur bas hum
ki jaane ke wan to thikane bandhe hain

lagen kyun na tir-e-nigah dil jigar par
ki us chashm ke ye nishane bandhe hain

falak tere hathon bade the jo dana
so ab un ke pallon mein dane bandhe hain

ghazab sada-ruon ki hai sadgi bhi
ki phente ajab sufiyane bandhe hain

hui ghar mein shadi tumhaare to aisi
ki jis ke jahan mein fasane bandhe hain

na bulwane ka hum ko shikwa hai dekho
bandhan-war ab tak purane bandhe hain

bakhil ab ye munim nahin kyunki 'jurat'
kase jin ke khwanon mein khane bandhe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close