jo sang ho ke mulaem hai sadgi ki tarah pighal raha hai mere dil mein chandni ki tarah mujhe pukaro to diwar hun suno to sada main gunjta hun fazaon mein khamushi ki tarah main us ko nur ka paikar kahun ki jaan-e-khayal jo mere dil pe utarta hai shairi ki tarah kisi ki yaad ne mahka diya hai zakhm-e-talab saba ke hath se masli hui kali ki tarah thaka hua hun kisi sae ki talash mein hun bichhad gaya hun sitaron se raushni ki tarah main apne karb mein ghaltan wo apne kaif mein gum hai is ki jit bhi meri shikast hi ki tarah khizan ke zahr ka tiryak agar nahin yaro gulon ki baat hai be-waqt ragni ki tarah