ye raat din ka badalna nazar mein rahta hai hamara zehn musalsal safar mein rahta hai nazar mein us ki to wusat hai aasmanon ki go dekhne ko parinda shajar mein rahta hai hamara nam wo le le to log chaunk utthen ki fard fard hamare asar mein rahta hai shajar shajar jo samar hai to dekh khud ko bhi jahan-e-nau ka tasawwur samar mein rahta hai har ek baat ka bilkul yaqin aaya magar hamara khauf tumhaare agar mein rahta hai tujhe guman hai ki manzil pe to pahunch bhi gaya har ek shakhs yahan rahguzar mein rahta hai use sukun hai is se ki hum ko chain nahin bas ek junun hamari khabar mein rahta hai nahin hai kuchh bhi wo ai 'sad' bas khayal sa hai magar khayal ka sauda to sar mein rahta hai