hai ajab shaghl mera raat ke dhal jaane tak dekhta rahta hun tara koi jal jaane tak phir sula dega use bahr ka ek gahra sukut masti hai mauj mein sahil pe machal jaane tak kya hua us ki girah mein hai agar ek duri main bhi to us ka hun bas us ke badal jaane tak phir wahi main mera phir hoga wahi kar-e-jahan baat sari hai kisi gham ke bahal jaane tak wo zarurat se ziyaada hi faraghat thi ki main jis mein phirta raha hasrat ke nikal jaane tak mera ek uzr wo sunta raha khamoshi se aur main baitha raha barf pighal jaane tak rok rakhni hai kahin ek jagah dard ki raat kisi bimar ki haalat ke sambhal jaane tak rizq mitti ka mera khun nahin banne wala subh ke chehre pe ghaza koi mal jaane tak ain mumkin hai thahar jae kahin aaj ka din aur ye thahra hi rahe yun tere kal jaane tak ek aatish hai ki dahkae hue rakhti hai kisi zanjir ke halqon ke pighal jaane tak main bhi 'shahin' use milne nahin jaane wala us ke andar se kisi bal ke nikal jaane tak