ye raat hai ek jalti hui raat safar ki aise mein kahin yaad hamein aae jo ghar ki kuchh aur meri pyas badhi us ko pata kya bhule se agar us ne kabhi mujh pe nazar ki tum ja ke kisi khwab ki basti mein base ho jo yaad tumhein aai nahin apne hi ghar ki wo kaun si manzil hai jahan chain milega is khoj mein ek 'umr yahan sab ne basar ki bhule se koi chand ubhar aae to 'arif' kat jaegi ye raat siyah-raat safar ki