ye raaz-e-soz-e-mohabbat kabhi ayan na hua

ye raaz-e-soz-e-mohabbat kabhi ayan na hua
tamam khana-e-dil jal gaya dhuan na hua

kabhi na khana-e-dil mein mere wo but aaya
makin haif hai zinat-dah-e-makan na hua

hua main soz-e-tap-e-gham se jal ke khakistar
par is tarah se ki paida zara dhuan na hua

na but-kade mein nazar aaya tu na kabe mein
kharab tere liye main kahan kahan na hua

dui ka hum ne to dil se utha diya parda
hazar pardon mein par wo sanam nihan na hua

habab-war hai bahr-e-jahan ke nashw-o-numa
na ho bala se agar qabr ka nishan na hua

safa-e-qalb se dekha kiya main jalwa-e-husn
hijab mane-e-nazzara-e-butan na hua

milaya khak mein jis ko farogh par dekha
sitam-shiar koi tujh sa aasman na hua

ye kis ke bar-e-alam ne use khamida kiya
jhuka kuchh aisa ki sidha phir aasman na hua

baghal mein yar-e-pari-wash ho daur-e-saghar ho
hamein nasib kisi roz ye saman na hua

bahaar mein na chala zoaf se junun ka zor
ki apna pairahan-e-tan ye dhajjiyan na hua

agar kaha to kaha us ko nuqta-e-mauhum
tere dahan pe dahan ka kisi guman na hua

hawas ye thi hama-tan sirf shukr-e-haq hoe
mere badan ka har ek rongta zaban na hua

hua hai surma-e-chashm-e-butan pas-e-murdan
'wafa' ghubar bhi apna to raegan na hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close