shab-e-firaq mein main nala-o-fughan karta

shab-e-firaq mein main nala-o-fughan karta
to sun ke sara jahan shor-e-al-aman karta

jahan mein kis liye main ulfat-e-butan karta
do-roza umr ko kyon apni raegan karta

main aap apne ko karta zamin ka paiwand
jo yaad sohbat-e-yaran-e-raftagan karta

kunisht-o-dair-o-haram mein na dekha jalwa tera
tujhe talash meri jaan phir kahan karta

zarur aankh mein un ke bhi ashk bhar aate
jo un se sadma-e-furqat ko main bayan karta

jo hota dasht-e-junun mein kabhi guzar mera
zarur daman-e-sahra bhi dhajjiyan karta

jhapakti khanjar-e-khun-khwar se na aankh meri
hazar martaba qatil jo imtihan karta

wo sakht-jaan tha ki aari use bana deta
gale pe meri jo khanjar koi rawan karta

buton ke hijr mein jalta jo barhaman ka dil
to shor surat-e-naqus har-zaban karta

kabhi na naqa-e-laila ko tez le jata
khayal-e-qais-e-hazin kuchh jo sarban karta

ujad dekh ke gulshan ko khub rota main
guzar khizan mein agar su-e-bostan karta

jo phul todta shakhon se mausam-e-gul mein
sitam ye bulbul-e-mahzun pe baghban karta

butan-e-dair se karta agar mohabbat main
tamam umr ke aamal raegan karta

hamare qatl ko qatil na khinchta khanjar
dikha ke abru-e-khamdar nim-jaan karta

phansa ke dam mein sayyaad mujh se bulbul ko
ujad bagh mein phir mera aashiyan karta

bahaar aate hi pir-e-mughan-e-dariya-dil
zarur dukhtar-e-raz nazr-e-mai-kashan karta

tamam umr ganwai gunah karne mein
khuda se khak 'wafa' khwahish-e-jinan karta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close